Allama Iqbal Quotes! Allama IQbal is the national poet of pakistan. He also known as the Greatest urdu poets of all time becuase of inspirational and deed minded quotes that hi writes and allow the all readers to read Allama Iqbal Quotes and inspire with them.
Allam Iqbal also writes the national dua “lab py ati hai dua ban ky tamana meri” and National anthem for india “Sare jahan sy acha hindustan hamara”.
In this blog we will show you the best Allama Iqbal Quotes in urdu and hindi that change your life. These Allama Iqbal Quotes also known as the Iqbal Quotes.
Allama Iqbal Quotes
Hazaron saal nargis apni benuri py roti hai,
badi mushkil sy hota hai chaman me dedawar peda.
Qaum Mazhab sy hai,
Mazhab jo nahi tum bhi nahi,
Jazba e baham jo nahi
Mehfil e anjum bhi nahi.
Firqa bandi hai kahi aur kahi zaatain hai
Kya zamany me panapny ki yahi baatain hai.
Banda o sahibe o muhtajo gani ek hue,
Tery sarkar me pohnchy to sabhi ek hue.
Dil sy jo baat nikalti hai asar rakhti hai,
Pur nahi taqat parwaz magar rakhti hai.
Khudi ko kar buland itna ky har taqdeer sy pehly,
khuda bandy sy khud puchy bata teri raza kya hai.
Tery ishq ki inteha chahta hun,
meri sadgi dekh kya chahta hun.
Dil me khuda ka hona lazim hai,
Iqbal sajdon me pady rehny sy janat nahi milti.
Yun to sayad bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi ho
tum sabhi kuch ho batao to musalamn bhi ho?
Qaum mazhab sy hai, Mazhab jo nahi to tum bi nahi,
jaba e baham jo nahi, mehfile anjum bhi nahi.
Apny qirdar pur dal kar parda IQBAL
har shakhs keh rha hai zamana kharab hai.
Kaha wafa milti hai mitti ky in haseen insano sy IQBAL
yeh log baghair matlab ky khuda ko bhi yaad nahi karty.
Haya nahi hai zamany ki ankh me baki
Khuda kary ky jawani teri rahy bedag.
Allah sy kary dour to taleem bhi fitna,
Amlak bhi, aulad bhi, jageer bhi fitna,
Nahaq ky liye uthy to shamsheer bhi fitna,
Shamsheer to kya naraye taqbeer bhi fitna.
Nahi hai na ummed iqbal apni kasht e weran sy
zara num ho to yeh mitti badi zarkheez hai saqi.
Khuda sy hurn ky ik roz yeh sawal kiya
jaahan me kyu na mujhy to ny lazawal kiya.
Jafa jo ishq me hoti hai wo jafa hi nahi
sitam na ho to muhabbat me kuch maza hi nahi.
Fida karta raha dil ko haseeno ki adayu pur
magar dekhi na is aaeny me apni ada tuny.Us qaum ki shamsheer ki hajat nahi rehti
ho jis ky jawano me khudi surat e faulad
Allama Iqbal Quotes in Urdu & Hindi
Nishan sajda saja kar bahut guroor na kar
wo niyato sy natejy nikal leta hai.
Read more: 20+ Beautiful Ramadan Quotes in Urdu
Ki Muhammat sy wafa tuny to hum tery hai
yeh jahan cheez hai kya lauh qalam tery hai.
Ishq bhi ho hiijab me, husn bhi ho hijab
me ya to khud aashkar ho ya mujhy aashkar kar.
Zameer jag hai jata hai agar zinda ho iqbal
kabhi gunah sy pehly to kabhi gunah ky baad.
Dilon ki imarat me kahi bandagi nahi
pathar ki masjidon me khuda dhundty hai log.
Dunya ki mehfilon sy ukta gaya hu ya rab
kya lutf anjuman ka jub dil hi bujh gaya ho.
Quwat e ishq sy har past ko bala kardydehr me ism e muhammad sy ujala kardy
Jin ky angan me ameri ka shajar lagta hai
un ky har aib bhi zamany ko hunar lagta hai
Amal sy zindagi banti hai jannat bhi jahanam bhi
yeh khaki apni fitrat me na nuri hai na narri hai.
Faqat nigah sy hota hai faisla dil ka
na ho nigah me shokhi to dilbari kya hai
Gulami me na kaam ati hai shamsherain na tadbeerain
jo ho zauq yaqeen paida to kaat jati hai zanjeerain
Nasha pila kar girana to sub ko ata hai
maza to tub hai ky girton ko tham ly saqi
Nahi tera nasheman qisra e sultani ky gunbad pur
Tu shaheen hai baseera kar pahadon ki chatanon me
Tu hai muheeta e bekara, me hu zara si aab
jo ya mujhy hamkinar kar ya mujhy bekinar kar.
Jub ishq sikhata hai aadab khud agahi
Khulty hai gulami pur israr e shehshahi.
Buton sy tujh ko umeedain khud sy na umeedi
mujhy bata to sahi aur kafri kya hai
Anokhi wazaa hai sary zamany sy niraly hai
yeh ishq kon si basti ky ya rab rehny waly hai
Aqul ko tanqeed sy fursat nahi
Ishq pur aimal ki bunyad rakh
Dhundta phirta hu me IQBAL apny apko
Ap hi goya musafir ap hi manzil hun me
Dunya ki mehfilon sy ukta gaya hu ya rab
Kya lutf e anjumun dil hi bujh gaya ho
Hui na aam jahan me kabhi huqumat ishq
sabab yeh hai ky muhabbat zamana saaz nahi
Yaqeen muhakam amal peham muhabbat tatahe alam jihad
zindagani me hai yeh murdon ki shamsherain
So so ummedain bandhti hai ek ek nigah pur
Mujh ko na esy pyar sy dekh kary koi
Usy subh azal inkar ki jurat hui kyunkar
mujjy maloon kiya wo razdan tera hai ya mera
Aqul aayar hai so bhens badal leti hai
Ishq bechara na zahid hai na mula na haqeem
Gala to dhunt diya ahle madarsa ny tera
Kaha sy aye sada La illah Illal Allah
Apny man me dub kar pa chiraghe zindagi
Tu agar mera nahi banta to na ban apna to ban
Ay tair lahotti us rizq sy maut achi
Jis rizq sy aati ho parwaz me kotahi
Kushada dast o karam jub wo by niyaz kary
Niyaz mand na kyu aajzi py naz kary
Ho ded ka jo shauq to ankhon ko band kar
hai dekhna yehi ky na kar dekha kary koi
Ilm ki justuju jis rang me bhi ki jaye,
Ibadat ki ek shakal hai.
Read more: 30 best Quotes about life in urdu
Read more: 30+ Islamic Quotes in urdu