Best Motivational Quotes! In this blog we will come up with the most famous and inspirational best motivational quotes in urdu. Best Motivational quotes On life with images, so if you want to inspire yourself or anyother than these quotes are very helpful for you.
50+ Best Motivational Quotes in Urdu with Images | Islamic Quotes In Urdu with Images | Inspirational Quotes on life with Images
Why do people hurt other people so much?
Just stop for a minute and think about this issue. Who are the people who do not hurt othres? They are the people who do not hur themselves. The lava of sorrow and pain inside them is no so intense taht it boild and falls on others.
The main thinsg is that keeping yourself safe is essential to keeping others safe..
“So to protecting yourself is protecting others.”
Measning that its purpose is tha same, so it saturated everyone the same way. and selfkindness comes from letting the truth in and be allowed to bandage your wounds so that you can become healthy inside.
Best Motivational Quotes in Urdu
Here are the most famous and Best Motivational Quotes of All time in urdu
Dard wo hota hai jo humy dusron ko takleef me dekh kar mehsoos ho,
warna apna dard to janwaron ko bhi mehsoos hota hai.
Hum insan ki fitri kamzoriyan daba sakhty hai,
Un ko kisi had tak rok sakhty hai,
magar un ka qataye insdad nahi kar skahty.
Asmat ki hifazat zaroori hai magar pet ki bhookh mitana bhi zaroori haii.
Darasal jinsi bhookh kuch is qism ki bhookh hai ky mitaye nahi mit sakhti.
Mard ka tasawur hamesha aurton ko asmat ky tany hue rasy pur khada kar deta hai.
Wo aurat jo qanoon ki us dunya me sar e bazar apna maal bechti hai aur
koi dhoka nahi deti, shareef nahi hai?
Bady bady mutaqabiron aur sarkashon ko bhi khuda ky samny jhuky baghair chara nahi.
Jub tu khuda sy magfirat o ata ka talib hai to jin logon ki umeedain teri zaat sy wabasta hai, to unhain bhi mahroom o mayoos na kar.
Jo shakhs koshish aur amal me kothaye karta hai pechy rehna us ka muqadar hai.
Musibat me hosla nahi harna chahiyea, Himmat sy uska muqabla karna chahiyea. Himmat taqat sy zyada kaam karti hai.
Ehsas kya hai?
Dusron ki takleef ko apni takleef samjhna.
Zalim jub tak zulm nahi chodta us ky haq me koi dua qabool nahi hoti.
Dunya by wafa aur intehaye naqabile airtbar hai us sy faida wahi shakhs uthata hai jo usy makhlooq e khuda ki islah aur falah me laga deta hai.
jo log dunyawi shaiys aur zaroorat ki hasool ky liye mustarab hai, wahi darasal takleef me hoty hai.
Jis insan ko talash ky nuqtaye haye daqeed sy aashnaye na ho. Wo dusron ky chehry hi dekhta chala jata hai.
Purany waqton ko yaad nahi karty zyada, Naye dino me ghun laga jata hai.
Islami Quotes in Urdu with images | Best Motivatinal Quotes in Urdu
Jo shakhs sajdon me rehta hai, Usy taqdeer pur rona nahi padta.
Insan ka subsy bada dushman fal bad hai aur subsy bada khair khuwah kar naik hai.
Hamesha methy alfaz bolo taky kabhi alfaz wapis leny pady to kadwy na lagain.
Agar rasta khoobsurat hai to maloom karo ky kis manziil ko jata hai,
Lekin agar manzil khoobsurat hai to rasta ki parwah mat karo.
Jin logon ky khayalat achy hoty ha wo kabhi tanha nahi rehty.
Waqt, dost aur rishty yeh wo cheezain hai jo hamessha muft me milti hai, magar un ki qadar tub pata chalti hai, jub yeh kahi khoo jati hai.
So dosto sy behter wo ek dushman hai jo dil me nafrat to rakkhta hai lekin munafiqat nahi rakhta.
Intezar karny waloon ko sirf itna hi milta hai, jitna koshish karny walon sy jata hai.
Jis shakhs ky dushman nahi haii aur sub dost hai us jesa munafiq, koi nahi kyunky dushman us ky hory hi, jo haq ki baat karta hai.
Jo galati kar nahi sakhta wo farishta hai,
Jo galati karky us pur dat jaye wo shaitan hai aur,
Jo galati karky foran tauba karly wo insan hia.
Har baat pur ha milana munafiqon ki nishani hai..
KHushi insan ko itna nahi sikhati jitna gum sikhata hai.
Jo tumhari khamoshi sy tumhari takleef ka andaza na kar sakhy us ky samny zaban sy izhar karna sirf lafzon ki zaya karna hai.
Jo shakhs tumhara gussa bardasht kary aur sabit qadar rahy to wo tumhara sacha dost hai.
30+ Best Islamic Quotes in Urdu
Logon ko usi tarah maaf karo jesy tum khuda sy umeed rakhty ho ky wo tumhain maaf kardyga.
waqt esi zameen hai jis pur baghair muhabbat ky kuch peda hai hota.
Achy aur musbat khayalat kisi dolat sy kaam nahi.
Sony ko aag parakhti hai aur insan ko masaib.
Khamoshi dana kar zewar aur ehmaq ka bharam hai.
Roshni ki umeed rakhohu magar umeed pur zindagi mat guzaron.
Arzo e nisf zindagi haii by basi nisf maut.
Inspirational Quotes on lifebest | Best Motivational Quotes in Urdu
Pur khulus duaaon jesa koi tohfa nahi.
Ilm sy bada koi khazana nahi, buri adat sy zyada ko dushman nahi aur sharm sy behter koi libas nahi.
Munh sy hamesha achy alfaz hi nikalo, taqy dushman ko bhi dost banalo.
Har mushkil insan ki himmat imtehan leti hai.
achi kitabain behtreen dost hai.
Walidain ki taraf muhabbat ki nigha sy dekhna ibadat hai.
ZYada Hoshiyar darasal badgumani hai.
Kabil mard, apni nigah me saat daleel lany walon ki nisbat zyada aqal mand hai.
Shareer apni badqari ky sabar padda aur azkhud gunah ki rasiyom me jakda jata hai.
Insaf, saqid ky liye khushih aur badqarom ky liye khoof hai,
Badgumani kashti ky andar qatra qatra rasta hur pani hai jo aakhkirkat kashti ko ly dobta hai/
Ansoon bahaon aur khoob bahaon yeh soch kar nahi ky hamari khuwahishat puri nahi hoti,
balky yeh sochakt ky hum apni khuwahishat ky kis qadar ghulam hai.
Kisi ko ilzam dety waqt apny graiban me jhank lena chahyea.
Waqt, Mout, and Gahak teno hi kisi ka intezar nahi karty.
Momin ky liye kitna bura hai ky wo esi cheezon ky khuwahish kary jo us ky liye zillat aur ruswaye ka sabab banti hai.
Jo cheezan apny wajood me teri muhtaj hai un sy tery liye kyunkar istedlaar kiya ja sakhta hai.
ZIndagi ko hamesha muskurat kar guzaron kyunky tum nahi janty ky yeh kitni baqihai.
Salh afrad ky sath uthna bethna falah aur behbood ki taraf dawat deta hai, Ulama ka adab karna aqal me izafy ka sabab hai.
EK aaliama jis sy log faida uthty ho wo satar hazar aabidon sy behter hai.
Best Motivational Quotes in Urdu
Dusron ki choti choti baaton me khayal rakhny sy badi badi muhabbatin janam leti hai.
Khamoshi ibadat hai baghair mehnet ky.
Tumhara chal chalan us baat sy maloom ho sakhta hai ky tum kis cheez ko dekh kar khamosh ho rahy ho.
Insan ki samjhdar yeh hai ky wo kifayat shiaar ho.
Buland awaz me qahqaha lagana achi baat nahi samjhi jati.
Sheerain qalami insan ka husn hai.
Pani jub tak rawa rehta hai, saaf rehta hai aur jub tuk jata hai to gadla aur kichad jesa ho jata hai.
Aqalmand hamesha shako e shubaat me gehry rehty hai/
Maa ki mamta ek anmol naimat hai.
Jub tu kisi sy ehsan kary to us ka makhfi rakh aur jub tery sath koi ehsan kary to usko zahir kar.